MERI NAZROO KO TUMHARA INTZAAR HAI...!!!




meri nazroo ko tumhara intzaar hai...!
dil bhi tumhare liye bekaraar hai...!






kuch hi samay me aap ho gayae ajeez ,
lo aaj kiya iss baat ka izhaar hai...!
aap ka tho pata nahi ,
par saath betyae hue pal humare liyae yaadgaar hai...!
tumhe hum par ho na ho ,
lekin humhe tum par aitbaar hai...!
pahale tho sirf katrina se tha ,
ab humhe tum se bhi pyar hai...!

dimaag se tho coding kar rahae hai ,
lekin dil ke compiler ko tumhara hi khyaal hai...!
maine usko bola ki bas kar pagle ,
lekin usko abhi-bhi tumhara hi exception yaad hai...!
humare UI(user interace)par tho muskraahat hai ,
lekin iss dil me tho ek bug ki daraar hai...!
jaldi aakar fix karo apne exception ko ,
ke mera dil phir se dhadkane ko betaab hai...!

PM bola jo chala gaya usse jane do , uske yaad me peena bekaar hai...!
me bola sir ji , ek exception ki wajah se pura code hi behaal hai...!
yu rooth ke aapke jaane ka , dil ko kya gurdo ko bhi ahsaas hai...!
aap ne dard diya hai itna gahera , ki iss ko catch karne ka nahi koi asaar hai...!



tumare bina , ye jindagi ek mazaak hai...!
ki meri nazroo ko tumhara intzaar hai...!
aur dil bhi tumhare liye bekaraar hai.....!





maat karo guroor apne roop ka , hum hi tho uske sunaar hai...!
ghussa thook ke poocho apne dil se , hum hi tho uske dildaar hai...!
maana khata ho gayae humse , lekin aap hi tho humare sarkaar hai...!
keechi chale aao ge wapas , mera pyar bhaut balwaan hai...!


logo ne kha mera ishq kisse aur se,
are ye sab bakwaas hai...!
galti tho karta hai bhagwan bhi,
hum tho bas tochh insaan hai...!
tha temp tattoo tumare naam ka arms par,
uske abhi-bhi nishaan hai...!
jhagad kar phir miljana,
darling yehi tho humare pyar ki pehchaan hai...!


bedroom ke alawa kitchen me bhi aap ki darkaar hai...!
aap ke banae hue khichadi ka taste wakaie shandaar hai...!
aapke saare sawalo ka shayad , nahi humare paas koi jawaab hai...!
pahale sirf aapne me the , aaj aap ki nazar me bhi hum badnaam hai...!
gift bhale sasta diya tumko , par meri mohabbat ka nahi koi daam hai...!
tum saath raho tho ye ghar , varna ek sandaas hai..!






tumare bina , ye jindagi ek mazaak hai...!
ki meri nazroo ko tumhara intzaar hai...!
aur dil bhi tumhare liye bekaraar hai.....!







tumhare ankho mein kuch baat hai...!
aur un baato mein kuch ahsaas hai...!
ab hum kya geela kare dosto,un ahsaas ka ahsaas bhi kuch khaas hai...!
mann ki banjar dharti ko,tumhare hasee ke buacharo ki pyaas hai...!
agar devdas ko paaro ke badle tum mil gaye hote,
tho vo bhi kahta ki maine liya daru se sanyaas hai...!


kavi tho hum hai bure dosto ,

kavita nahi tho jasbaat pasand aayaenge tumhe , yehi meri aas hai...!




tumhare bina , ye jindagi ek mazaak hai...!
ki meri nazroo ko tumhara intzaar hai...!
aur dil bhi tumhare liye bekarar hai.....!








2 comments:

  1. tumhare ankho mein kuch baat hai...!
    aur un baato mein kuch ahsaas hai...!

    dost in ankho mein na pado ya ankhee bahut dhokha deti hai.............

    ReplyDelete
  2. its good dude.....
    this kind of product produce only shanky's mind......

    ReplyDelete